Ehsaas

Kahu na kuch bhi main, fir bhi samajh jaye bahut kuch....
dil me uske mere hi jazbaat chahiye....
Husn ke dhoop ki talaash nahi mujhe...
ek mridul komal sa ehsaas chahiye.........

Har sama mein bas uska hi chehra nazar aaye...
khushi ke har pal mein uska hi sath chahiye..
Bin uske har mehfil lage tanhaa...
Hawaon mein bas uske khusboo ki mithaas chahiye...

Sagar se bhi gahri ho uski ankhein....
ek pyari si muskaan har waqt,un palko ke paas chahiye...
Har pal uske jhalak ko tarse man...
dil ko ek aisi anboojhi si pyaas chahiye.........

Choti si tamanna dil me bas yahi hai...........
yahi hai khwahish, yahi arzoo, yahi chahat...
Dil ko mere dhadkan, tan ko atma...
ankhon ko roshni, hothon ko meri ek awaaz chahiye...

Husn ke dhoop ki talaash nahi mujhe......
ek mridul komal sa ehsaas chahiye.............

3 comments:

Amrita said...

"Sagar se bhi gahri ho uski ankhein....
ek pyari si muskaan har waqt,un palko ke paas chahiye..."
these lines are really thot provoking..
gud work vishal

Anonymous said...

gives solace 2 a broken heart..luv it...d way its been written xpresses d real saga of sumone...truly...amazin..

Swati said...

Gr8 Lines!!!! I too used to write sometym... Keep up the good work man... :)