Lamhe

jab bhi chum leta un hasin ankho ko..
sau chiraag andhere me jhilmilane lagte hai...
lamhe bhar ko yeh duniya julm chor deti hai...
lamhe bhar ko har patthar muskurane lagte hai...




- Kaifi Azmi

Ehsaas

Kahu na kuch bhi main, fir bhi samajh jaye bahut kuch....
dil me uske mere hi jazbaat chahiye....
Husn ke dhoop ki talaash nahi mujhe...
ek mridul komal sa ehsaas chahiye.........

Har sama mein bas uska hi chehra nazar aaye...
khushi ke har pal mein uska hi sath chahiye..
Bin uske har mehfil lage tanhaa...
Hawaon mein bas uske khusboo ki mithaas chahiye...

Sagar se bhi gahri ho uski ankhein....
ek pyari si muskaan har waqt,un palko ke paas chahiye...
Har pal uske jhalak ko tarse man...
dil ko ek aisi anboojhi si pyaas chahiye.........

Choti si tamanna dil me bas yahi hai...........
yahi hai khwahish, yahi arzoo, yahi chahat...
Dil ko mere dhadkan, tan ko atma...
ankhon ko roshni, hothon ko meri ek awaaz chahiye...

Husn ke dhoop ki talaash nahi mujhe......
ek mridul komal sa ehsaas chahiye.............

Five Minutes

All I need at this moment,
is five minutes with her.
I was in love with her,
I don't know since when,
But I realised,
When I was near my end.
I wanted her to know,
I wanna love her more,
But its too late
'cause time doesn't wait.
I cried desperately,
As she stood beside me,
with tears in her eyes,
And a smile on her face.


She loved me yesterday,
She loves me today,
She loves me always,
But I didn't understand her feelings,
I didn't understand her pain.
But now when I need both her & her love,
I find her going miles and miles away!!!





modernisation

MODERNISATION
Ek din mere sapno mein,
aaye bhagwan shiv aur parvati mai,
pahne the jeans pant,bush shirt aur tie,
maine pucha "bhagvan yeh kaisa hai chamatkar"
bhagwan bole "beta ye hai modern ardhanarishwar awtar"
maine pucha "bhagwan, shirt ki upar ki button kyon khuli hai"
bhagwan bole "beta ye aajkal ke nariyo ke aachran se mili hai"
"niche ka nar aur upar ka nari ko darshata hai,
aur yahi adha adhura nangapan to modernisation kahlata hai"
main bola " bhagwan, Modernisation ke chakkar me mat jaiyega,
nahi to mrig chaal ke badle nange hi ghar aaiyega !! "